hum pe rahte ho kya kamar kaste
ham pe rahte ho kyā kamar kaste
achchhe hote nahīñ jigar-ḳhaste
hañste khīñchā na kījiye talvār
ham na mar jaa.eñ hañste hī hañste
shauq likhne qalam jo haath aa.ī
likkhe kāġhaz ke daste ke daste
sair-qābil haiñ tang-posh ab ke
kuhniyāñ phaTte choliyāñ chaste
rang letī hai sab havā us kā
us se bāġh-o-bahār haiñ raste
ik nigah kar ke un ne mol liyā
bik ga.e aah ham bhī kyā saste
'mīr' jangal paḌe haiñ aaj jahāñ
log kyā kyā nahīñ the kal baste
hum pe rahte ho kya kamar kaste
achchhe hote nahin jigar-KHaste
hanste khincha na kijiye talwar
hum na mar jaen hanste hi hanste
shauq likhne qalam jo hath aai
likkhe kaghaz ke daste ke daste
sair-qabil hain tang-posh ab ke
kuhniyan phaTte choliyan chaste
rang leti hai sab hawa us ka
us se bagh-o-bahaar hain raste
ek nigah kar ke un ne mol liya
bik gae aah hum bhi kya saste
'mir' jangal paDe hain aaj jahan
log kya kya nahin the kal baste
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1266
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.