humse use nifaq hua hai wifaq mein
ham se use nifāq huā hai vifāq meñ
kam ittifāq paḌte haiñ ye ittifāq meñ
shāyad ki jān-o-tan kī judā.ī bhī hai qarīb
jī ko hai iztirāb bahut ab firāq meñ
aazim pahuñchne ke the dil-o-arsh tak vale
aaya qusūr apne hī kuchh ishtiyāq meñ
ihrāq apne qalb kā rone se kab gayā
paanī kī chaar būñdeñ haiñ kyā ehtirāq meñ
tahsīl-e-ilm karne se dekhā na kuchh husūl
maiñ ne kitābeñ rakkhīñ uThā ghar ke taaq meñ
dam naak meñ ba-qaul-e-zanāñ āshiqoñ ke haiñ
hilnā balā hai motī kā us ke bulāq meñ
ik nuur garm-e-jalva falak par hai har sahar
koī to māh-pāra hai 'mīr' us rivāq meñ
hum se use nifaq hua hai wifaq mein
kam ittifaq paDte hain ye ittifaq mein
shayad ki jaan-o-tan ki judai bhi hai qarib
ji ko hai iztirab bahut ab firaq mein
aazim pahunchne ke the dil-o-arsh tak wale
aaya qusur apne hi kuchh ishtiyaq mein
ihraq apne qalb ka rone se kab gaya
pani ki chaar bunden hain kya ehtiraq mein
tahsil-e-ilm karne se dekha na kuchh husul
main ne kitaben rakkhin uTha ghar ke taq mein
dam nak mein ba-qaul-e-zanan aashiqon ke hain
hilna bala hai moti ka us ke bulaq mein
ek nur garm-e-jalwa falak par hai har sahar
koi to mah-para hai 'mir' us riwaq mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1449
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.