hum to uske zulm se hamdam chale
ham to us ke zulm se hamdam chale
rah sake hai tū to rah yaañ ham chale
TuuTe juuñ lāla-sitāñ se ek phuul
ham le yaañ se dāġh-e-yak-ālam chale
jumbish-e-abrū to vaañ rahtī nahīñ
kab talak talvār yaañ har-dam chale
nam jigar ke aaya āḳhir ho ga.e
ashk-e-ḳhūnīñ kuchh mizha par jam chale
dekhiye baḳht-e-zabūñ kyā kyā dikhā.e
tum to ḳhūbāñ ham se ho barham chale
bhāgne par baiThe the goyā ġhazāl
terī āñkheñ dekhte hī ram chale
mujh se nā-shā.ista kyā dekhā ki 'mīr'
aate aate kuchh jo aañsū tham chale
hum to us ke zulm se hamdam chale
rah sake hai tu to rah yan hum chale
TuTe jun lala-sitan se ek phul
hum le yan se dagh-e-yak-alam chale
jumbish-e-abru to wan rahti nahin
kab talak talwar yan har-dam chale
nam jigar ke aaya aaKHir ho gae
ashk-e-KHunin kuchh mizha par jam chale
dekhiye baKHt-e-zabun kya kya dikhae
tum to KHuban hum se ho barham chale
bhagne par baiThe the goya ghazal
teri aankhen dekhte hi ram chale
mujh se na-shaista kya dekha ki 'mir'
aate aate kuchh jo aansu tham chale
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0520
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.