har har suKHan pe ab to karte ho guftugu tum
har har suḳhan pe ab to karte ho guftugū tum
in bad-mizājiyoñ ko chhoḌoge bhī kabhū tum
yaañ aaphī aap aa kar gum aap meñ hue ho
paidā nahīñ ki kis kī karte ho justujū tum
chāheñ to tum ko chāheñ dekheñ to tum ko dekheñ
ḳhvāhish diloñ kī tum ho āñkhoñ kī aarzū tum
hairat-zada kisū kī ye aañkh sī lage hai
mat baiTho aarsī ke har lahza rū-ba-rū tum
the tum bhabhūke se to par ab jalā hī do ho
sozinda aag kī kyā sīkhe ho saarī ḳhū tum
nisbat to ham-digar hai go duur kī ho nisbat
ham haiñ navā-e-bulbul ho gul ke rang-o-bū tum
dekh ashk-e-surḳh bolā ye rang aur laa.e
haiñ 'mīr' muñh pe aañsū yā rote ho lahū tum
har har suKHan pe ab to karte ho guftugu tum
in bad-mizajiyon ko chhoDoge bhi kabhu tum
yan aaphi aap aa kar gum aap mein hue ho
paida nahin ki kis ki karte ho justuju tum
chahen to tum ko chahen dekhen to tum ko dekhen
KHwahish dilon ki tum ho aankhon ki aarzu tum
hairat-zada kisu ki ye aankh si lage hai
mat baiTho aarsi ke har lahza ru-ba-ru tum
the tum bhabhuke se to par ab jala hi do ho
sozinda aag ki kya sikhe ho sari KHu tum
nisbat to ham-digar hai go dur ki ho nisbat
hum hain nawa-e-bulbul ho gul ke rang-o-bu tum
dekh ashk-e-surKH bola ye rang aur lae
hain 'mir' munh pe aansu ya rote ho lahu tum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1173
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.