har subh sham to pae-iza-e-mir ho
har sub.h shaam to pa.e-īzā-e-'mīr' ho
aisā na ho ki kaam hī us kā aḳhīr ho
ho koī bādshāh koī yaañ vazīr ho
apnī balā se baiTh rahe jab faqīr ho
jannat kī mannat un ke dimāġhoñ se kab uThe
ḳhāk-e-rah us kī jin ke kafan kā abiir ho
kyā yuuñ hī āb-o-tāb se ho baiTheñ kār-e-ishq
sūkhe jigar kā ḳhuuñ to ravāñ jū-e-shīr ho
chhātī qafas meñ daaġh se ho kyoñ na rashk-e-bāġh
josh-e-bahār thā ki ham aa.e asiir ho
yaañ barg-e-gul uḌāte haiñ parkāla-e-jigar
jā andalīb tū na mirī ham-safīr ho
us ke ḳhayāl ḳhat meñ kise yaañ dimāġh-e-harf
kartī hai be-maza jo qalam kī sarīr ho
zinhār apnī aañkh meñ aatā nahīñ vo said
phūTā dosār jis ke jigar meñ na tiir ho
hote haiñ mai-kade ke javāñ shaiḳh jī bure
phir darguzar ye karte nahīñ go ki piir ho
kis tarah aah ḳhāk-e-mazallat se maiñ uThūñ
uftāda-tar jo mujh se mirā dastgīr ho
had se ziyāda jaur-o-sitam ḳhushnumā nahīñ
aisā sulūk kar ki tadāruk-pazīr ho
dam bhar na Thahre dil meñ na āñkhoñ meñ ek pal
itne se qad pe tum bhī qayāmat sharīr ho
aisā hī us ke ghar ko bhī ābād dekhiyo
jis ḳhānumāñ-ḳharāb kā ye dil mushīr ho
taskīn-e-dil ke vāste har kam-baġhal ke paas
insāf kariye kab ta.iiñ muḳhlis haqīr ho
yak vaqt-e-ḳhās haq meñ mire kuchh duā karo
tum bhī to 'mīr' sāhib-o-qibla faqīr ho
har subh sham to pae-iza-e-'mir' ho
aisa na ho ki kaam hi us ka aKHir ho
ho koi baadshah koi yan wazir ho
apni bala se baiTh rahe jab faqir ho
jannat ki mannat un ke dimaghon se kab uThe
KHak-e-rah us ki jin ke kafan ka abir ho
kya yun hi aab-o-tab se ho baiThen kar-e-ishq
sukhe jigar ka KHun to rawan ju-e-shir ho
chhati qafas mein dagh se ho kyon na rashk-e-bagh
josh-e-bahaar tha ki hum aae asir ho
yan barg-e-gul uDate hain parkala-e-jigar
ja andalib tu na meri ham-safir ho
us ke KHayal KHat mein kise yan dimagh-e-harf
karti hai be-maza jo qalam ki sarir ho
zinhaar apni aankh mein aata nahin wo said
phuTa dosar jis ke jigar mein na tir ho
hote hain mai-kade ke jawan shaiKH ji bure
phir darguzar ye karte nahin go ki pir ho
kis tarah aah KHak-e-mazallat se main uThun
uftada-tar jo mujh se mera dastgir ho
had se ziyaada jaur-o-sitam KHushnuma nahin
aisa suluk kar ki tadaruk-pazir ho
dam bhar na Thahre dil mein na aankhon mein ek pal
itne se qad pe tum bhi qayamat sharir ho
aisa hi us ke ghar ko bhi aabaad dekhiyo
jis KHanuman-KHarab ka ye dil mushir ho
taskin-e-dil ke waste har kam-baghal ke pas
insaf kariye kab tain muKHlis haqir ho
yak waqt-e-KHas haq mein mere kuchh dua karo
tum bhi to 'mir' sahib-o-qibla faqir ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0919
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.