hota nahin hai bab ijabat ka wa hanuz
hotā nahīñ hai baab ijābat kā vā hanūz
bismil paḌī hai charḳh pe merī duā hanūz
baaqī nahīñ hai dil meñ ye ġham hai bajā hanūz
Tapke hai ḳhuun dam-ba-dam āñkhoñ se tā-hanūz
din raat ko khiñchā hai qayāmat kā aur maiñ
phirtā huuñ muñh pe ḳhaak male jā-ba-jā hanūz
ḳhat kaaḌh lā ke tum to muñDā bhī chale vale
hotī nahīñ hamārī tumhārī safā hanūz
ġhunche chaman chaman khile is bāġh-e-dahr meñ
dil hī mirā hai jo nahīñ hotā hai vā hanūz
guzrī na paar arsh ki taskīn ho mujhe
afsos merī aah rahī nā-rasā hanūz
ahvāl nāma-bar se mirā sun ke kah uThā
jiitā hai vo sitam-zada mahjūr kyā hanūz
ġhuncha na buujh dil hai kisī mujh se zaar kā
khultā nahīñ jo sa.ī se terī sabā hanūz
toḌā thā kis kā shīsha-e-dil tū ne sang-dil
hai dil-ḳharāsh kūche meñ tere sadā hanūz
chullū meñ us ke merā lahū thā so pī chukā
uḌtā nahīñ hai tā.ir-e-rang-e-hinā hanūz
be-bāl-o-par asiir huuñ kunj-e-qafas meñ 'mīr'
jaatī nahīñ hai sar se chaman kī havā hanūz
hota nahin hai bab ijabat ka wa hanuz
bismil paDi hai charKH pe meri dua hanuz
baqi nahin hai dil mein ye gham hai baja hanuz
Tapke hai KHun dam-ba-dam aankhon se ta-hanuz
din raat ko khincha hai qayamat ka aur main
phirta hun munh pe KHak male ja-ba-ja hanuz
KHat kaDh la ke tum to munDa bhi chale wale
hoti nahin hamari tumhaari safa hanuz
ghunche chaman chaman khile is bagh-e-dahr mein
dil hi mera hai jo nahin hota hai wa hanuz
guzri na par arsh ki taskin ho mujhe
afsos meri aah rahi na-rasa hanuz
ahwal nama-bar se mera sun ke kah uTha
jita hai wo sitam-zada mahjur kya hanuz
ghuncha na bujh dil hai kisi mujh se zar ka
khulta nahin jo sai se teri saba hanuz
toDa tha kis ka shisha-e-dil tu ne sang-dil
hai dil-KHarash kuche mein tere sada hanuz
chullu mein us ke mera lahu tha so pi chuka
uDta nahin hai tair-e-rang-e-hina hanuz
be-baal-o-par asir hun kunj-e-qafas mein 'mir'
jati nahin hai sar se chaman ki hawa hanuz
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0231
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.