hua jo dil KHun KHarabi aai har ek aaza mein hai futur ab

hua jo dil KHun KHarabi aai har ek aaza mein hai futur ab
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
huā jo dil ḳhuuñ ḳharābī aa.ī har ek a.azā meñ hai futūr ab
havās gum haiñ dimāġh kam hai rahā sahā bhī gayā shu.ūr ab
mareñge ġhā.eb hazār yuuñ to nazar meñ hargiz na lāvegā tū
kareñge zaa.e.a ham aap hī ko ba-tang ho kar tire huzūr ab
vujūb-o-imkāñ meñ kyā hai nisbat ki 'mīr' bande kā pesh-e-sāhib
nahīñ hai honā zarūr kuchh to mujhe bhī honā hai kyā zarūr ab
hua jo dil KHun KHarabi aai har ek aaza mein hai futur ab
hawas gum hain dimagh kam hai raha saha bhi gaya shuur ab
marenge ghaeb hazar yun to nazar mein hargiz na lawega tu
karenge zaea hum aap hi ko ba-tang ho kar tere huzur ab
wujub-o-imkan mein kya hai nisbat ki 'mir' bande ka pesh-e-sahib
nahin hai hona zarur kuchh to mujhe bhi hona hai kya zarur ab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1352
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.