hun nishan kyon na tir-e-KHuban ka
huuñ nishāñ kyoñ na tīr-e-ḳhūbāñ kā
mujh pe tuuda huā hai tūfāñ kā
haath zanjīr ho junūñ meñ rahā
apne zanjīra-e-garebāñ kā
chupke dekho jhamakte ve lab surḳh
zikr yaañ kyā hai la.al-o-marjāñ kā
ek rahzan hai us kī kāfir zulf
ġham hī rahtā hai dīn-o-īmāñ kā
umr āvārgī meñ sab guzrī
kuchh Thikānā nahīñ dil-o-jāñ kā
kāfiristāñ hai ḳhāl-o-ḳhatt-o-zulf
vaqr kyā hai dil-e-musalmāñ kā
mar gayā 'mīr'-e-nāla-kash bekas
nai ne mātam meñ us ke muñh Dhāñkā
hun nishan kyon na tir-e-KHuban ka
mujh pe tuda hua hai tufan ka
hath zanjir ho junun mein raha
apne zanjira-e-gareban ka
chupke dekho jhamakte we lab surKH
zikr yan kya hai lal-o-marjaan ka
ek rahzan hai us ki kafir zulf
gham hi rahta hai din-o-iman ka
umr aawargi mein sab guzri
kuchh Thikana nahin dil-o-jaan ka
kafiristan hai KHal-o-KHatt-o-zulf
waqr kya hai dil-e-musalman ka
mar gaya 'mir'-e-nala-kash bekas
nai ne matam mein us ke munh Dhanka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1068
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.