‘iden aain barha lekin na we aa kar mile
‘īdeñ aa.iiñ bārhā lekin na ve aa kar mile
rahte haiñ un ke gale lagne ke barsoñ se gile
is zamāne kī tarī se lahr bahr aglī kahāñ
be-tahī karne lage dariyā-diloñ ke hausle
ġhunchagī meñ dekhe haiñ sad-rang-e-jaur-e-āsmāñ
ab jo gul sā bikhrā huuñ dekhūñ ki kaisā gul khile
saare 'ālam ke havās-e-ḳhamsa meñ hai intishār
ek ham tum hī nahīñ mā'lūm hote dah-dile
'mīr' tai hogā bayābān-e-mohabbat kis tarah
raah hai pur-ḳhār mere paañv meñ haiñ aable
‘iden aain barha lekin na we aa kar mile
rahte hain un ke gale lagne ke barson se gile
is zamane ki tari se lahr bahr agli kahan
be-tahi karne lage dariya-dilon ke hausle
ghunchagi mein dekhe hain sad-rang-e-jaur-e-asman
ab jo gul sa bikhra hun dekhun ki kaisa gul khile
sare 'alam ke hawas-e-KHamsa mein hai intishaar
ek hum tum hi nahin ma'lum hote dah-dile
'mir' tai hoga bayaban-e-mohabbat kis tarah
rah hai pur-KHar mere panw mein hain aable
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1756
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.