ilahi kahan munh chhupaya hai tu ne
ilāhī kahāñ muñh chhupāyā hai tū ne
hameñ kho diyā hai tirī justujū ne
jo ḳhvāhish na hotī to kāhish na hotī
hameñ jī se maarā tirī aarzū ne
na bhā.īñ tujhe merī bāteñ vagarna
rakhī dhuum shahroñ meñ is guftugū ne
raqīboñ se sar joḌ baiTho ho kyūñkar
hameñ to nahīñ dete Tuk paañv chhūne
phir us saal se phuul sūñghā na maiñ ne
divāna kiyā thā mujhe terī bū ne
mudāvā na karnā thā mushfiq hamārā
jarāhat jigar ke lage dukhne duune
kuḌhāyā kisū ko khapāyā kisū ko
burā.ī hī kī sab se us ḳhūb-rū ne
vo kisrā ki hai shor jis kā jahāñ meñ
paḌe haiñge us ke mahal aaj suune
tirī chaal TeḌhī tirī baat rūkhī
tujhe 'mīr' samjhā hai yaañ kam kisū ne
ilahi kahan munh chhupaya hai tu ne
hamein kho diya hai teri justuju ne
jo KHwahish na hoti to kahish na hoti
hamein ji se mara teri aarzu ne
na bhain tujhe meri baaten wagarna
rakhi dhum shahron mein is guftugu ne
raqibon se sar joD baiTho ho kyunkar
hamein to nahin dete Tuk panw chhune
phir us sal se phul sungha na main ne
diwana kiya tha mujhe teri bu ne
mudawa na karna tha mushfiq hamara
jarahat jigar ke lage dukhne dune
kuDhaya kisu ko khapaya kisu ko
burai hi ki sab se us KHub-ru ne
wo kisra ki hai shor jis ka jahan mein
paDe hainge us ke mahal aaj sune
teri chaal TeDhi teri baat rukhi
tujhe 'mir' samjha hai yan kam kisu ne
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.