inayat-e-azali se jo dil mila mujhko
'ināyat-e-azalī se jo dil milā mujh ko
mahall-e-shukr hai aatā nahīñ gila mujh ko
tunuk-sharāb za'īf-ud-dimāġh huuñ saaqī
dam-e-sahar mai-e-pur-zor mat pilā mujh ko
paḌā rahe koī murda sā kab talak ḳhāmosh
hilā kahīñ lab-e-jāñ-baḳhsh ko jilā mujh ko
junūñ meñ saḳht hai us zulf se 'ilāqa-e-dil
ḳhush aa gayā hai nihāyat ye silsila mujh ko
falak kī charḳh-zanī barsoñ ho to mujh sā ho
samajh samajh ke tanik ḳhaak meñ milā mujh ko
rahā thā ḳhuuñ ta.iiñ ham-rah so aaphī ḳhuun hai haif
rafīq tujh sā milegā kahāñ dilā mujh ko
durustī jeb kī itnī nahīñ hai ai nāseh
bane to sīna-e-sad-chāk de silā mujh ko
huā huuñ ḳhaak pa dil kī vahī hai nā-sāfī
abhī is aa.ine kī karnī hai jilā mujh ko
magar ki murdan-e-dushvār-e-'mīr' sahl hai shoḳh
halāk kartā hai terā musāhala mujh ko
'inayat-e-azali se jo dil mila mujh ko
mahall-e-shukr hai aata nahin gila mujh ko
tunuk-sharab za'if-ud-dimagh hun saqi
dam-e-sahar mai-e-pur-zor mat pila mujh ko
paDa rahe koi murda sa kab talak KHamosh
hila kahin lab-e-jaan-baKHsh ko jila mujh ko
junun mein saKHt hai us zulf se 'ilaqa-e-dil
KHush aa gaya hai nihayat ye silsila mujh ko
falak ki charKH-zani barson ho to mujh sa ho
samajh samajh ke tanik KHak mein mila mujh ko
raha tha KHun tain ham-rah so aaphi KHun hai haif
rafiq tujh sa milega kahan dila mujh ko
durusti jeb ki itni nahin hai ai naseh
bane to sina-e-sad-chaak de sila mujh ko
hua hun KHak pa dil ki wahi hai na-safi
abhi is aaine ki karni hai jila mujh ko
magar ki murdan-e-dushwar-e-'mir' sahl hai shoKH
halak karta hai tera musahala mujh ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0933
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.