is kaam-e-jaan-o-dil ne aalam ka jaan mara
is kām-e-jān-o-dil ne aalam kā jaan maarā
zulfoñ kī darhamī se barham jahān maarā
bulbul kā ātishīñ-dam dil ko lagā hamāre
aisā kinhoñ ne jaise chhātī meñ baan maarā
ḳhuuñ kuchh na thā hamārā markūz-e-ḳhātir us ko
lillāh ik hameñ bhī yuuñ darmiyān maarā
sar-chashma husn kā vo aaya nazar na mujh ko
us rāhzan ne ġhāfil kyā kārvān maarā
sabr-o-havās-o-dānish sab ishq ke zubūñ haiñ
maiñ kāvish-e-mizha se aalam ko chhān maarā
kyā ḳhuun kā maza hai ai ishq tujh ko zālim
ek ek dam meñ tū ne sau sau javān maarā
ham ājizoñ par aa kar yuuñ koh-e-ġham girā hai
jaise zamīñ ke uupar ik āsmān maarā
kab jī bache hai yaaro ḳhush-rū-o-mū-butāñ se
gar sub.h bach gayā to phir shaam aan maarā
kahte na the ki sāhib itnā kuḌhā na kariye
is ġham ne 'mīr' tum ko jī se nidān maarā
is kaam-e-jaan-o-dil ne aalam ka jaan mara
zulfon ki darhami se barham jahan mara
bulbul ka aatishin-dam dil ko laga hamare
aisa kinhon ne jaise chhati mein ban mara
KHun kuchh na tha hamara markuz-e-KHatir us ko
lillah ek hamein bhi yun darmiyan mara
sar-chashma husn ka wo aaya nazar na mujh ko
us rahzan ne ghafil kya karwan mara
sabr-o-hawas-o-danish sab ishq ke zubun hain
main kawish-e-mizha se aalam ko chhan mara
kya KHun ka maza hai ai ishq tujh ko zalim
ek ek dam mein tu ne sau sau jawan mara
hum aajizon par aa kar yun koh-e-gham gira hai
jaise zamin ke upar ek aasman mara
kab ji bache hai yaro KHush-ru-o-mu-butan se
gar subh bach gaya to phir sham aan mara
kahte na the ki sahib itna kuDha na kariye
is gham ne 'mir' tum ko ji se nidan mara
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0717
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.