ishq chhupa kar pachhtae hum sukh gae ranjur hue
ishq chhupā kar pachhtā.e ham suukh ga.e ranjūr hue
ya.anī aañsū pī pī ga.e so zaḳhm-e-jigar nāsūr hue
ham jo ga.e sarmast-e-mohabbat us aubāsh ke kūche meñ
khā.īñ khaḌī talvāreñ us kī zaḳhmī nashe meñ chuur hue
koī na ham ko jaane thā ham aise the gumnām aage
yumn-e-ishq se rusvā ho kar shahroñ meñ mash.hūr hue
kyā bātil nāchīz ye lauñDe qadr par apnī nāzāñ haiñ
qudrat-e-haq ke khel to dekho āshiq be-maqdūr hue
sar āshiq kā kaaT ke un ko sar-ba-garebāñ rahnā thā
so to pagḌī pher rakhī hai aur bhī ve maġhrūr hue
zard-o-zabūn-o-zār hue haiñ lutf hai kyā is jiine kā
murde se bhī barsoñ ke ham hijrāñ meñ be-nūr hue
paas hī rahnā aksar us ke 'mīr' sabab thā jiine kā
pahuñch ga.e marne ke nazdīk us se jo Tuk duur hue
ishq chhupa kar pachhtae hum sukh gae ranjur hue
yani aansu pi pi gae so zaKHm-e-jigar nasur hue
hum jo gae sarmast-e-mohabbat us aubash ke kuche mein
khain khaDi talwaren us ki zaKHmi nashe mein chur hue
koi na hum ko jaane tha hum aise the gumnam aage
yumn-e-ishq se ruswa ho kar shahron mein mashhur hue
kya baatil nachiz ye launDe qadr par apni nazan hain
qudrat-e-haq ke khel to dekho aashiq be-maqdur hue
sar aashiq ka kaT ke un ko sar-ba-gareban rahna tha
so to pagDi pher rakhi hai aur bhi we maghrur hue
zard-o-zabun-o-zar hue hain lutf hai kya is jine ka
murde se bhi barson ke hum hijran mein be-nur hue
pas hi rahna aksar us ke 'mir' sabab tha jine ka
pahunch gae marne ke nazdik us se jo Tuk dur hue
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1516
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.