ishq ho haiwan ka ya uns ho insan ka
'ishq ho haivān kā yā uns ho insān kā
laag jī kī jis se ho dushman hai apnī jaan kā
‘āshiq-o-mā’shūq kī maiñ turfa sohbat sair kī
ek jī maare hai marhūn ek hai ehsān kā
maiñ ḳhirad-gum 'ishq meñ us laḌke ke āḳhir huā
ye samar laayā na dekhā chāhnā nādān kā
marnā us ke 'ishq meñ ḳhālī nahīñ hai husn se
rashk ke qābil hai jo kushta hai us maidān kā
gir paḌeñge TuuT kar aksar sitāre charḳh se
hil gayā jo sub.h ko gauhar kisī ke kaan kā
har varaq har safhe meñ ik she’r-e-shor-angez hai
'arsa-e-mehshar hai 'arsa mere bhī dīvān kā
kyā milāve aañkh nargis us kī chashm-e-surḳh se
zard us ġham-dīda ko āzār hai yarqān kā
baat karte jaa.e hai muñh tak muḳhātab ke jhalak
us kā lā’l-e-lab nahīñ muhtāj rang-e-pān kā
kyā kahūñ saarā zamāna kushta-o-murda hai 'mīr'
us ke ik andāz kā ik naaz kā ik aan kā
'ishq ho haiwan ka ya uns ho insan ka
lag ji ki jis se ho dushman hai apni jaan ka
‘ashiq-o-ma’shuq ki main turfa sohbat sair ki
ek ji mare hai marhun ek hai ehsan ka
main KHirad-gum 'ishq mein us laDke ke aaKHir hua
ye samar laya na dekha chahna nadan ka
marna us ke 'ishq mein KHali nahin hai husn se
rashk ke qabil hai jo kushta hai us maidan ka
gir paDenge TuT kar aksar sitare charKH se
hil gaya jo subh ko gauhar kisi ke kan ka
har waraq har safhe mein ek she’r-e-shor-angez hai
'arsa-e-mehshar hai 'arsa mere bhi diwan ka
kya milawe aankh nargis us ki chashm-e-surKH se
zard us gham-dida ko aazar hai yarqan ka
baat karte jae hai munh tak muKHatab ke jhalak
us ka la’l-e-lab nahin muhtaj rang-e-pan ka
kya kahun sara zamana kushta-o-murda hai 'mir'
us ke ek andaz ka ek naz ka ek aan ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1543
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.