ishq karne ko jigar chahiye aasan nahin
'ishq karne ko jigar chāhiye āsān nahīñ
sab ko dā'vā hai vale ek meñ ye jaan nahīñ
ġhārat-e-dīñ meñ nigah ḳhasmī-e-īmāñ meñ adā
tujh ko kāfir na kahe jo vo musalmān nahīñ
sarsarī miliye butoñ se jo na ho tāb-e-jafā
'ishq kā zā.iqa kuchh dāḳhil-e-īmān nahīñ
ek be-dard tujhe paas nahīñ 'āshiq kā
varna 'ālam meñ kise ḳhātir-e-mehmān nahīñ
kyūñke ġham sar-zada har lahza na aave dil meñ
ghar hai darvesh kā yaañ dar nahīñ darbān nahīñ
ham-nashīñ aah na taklīf-e-shakebā.ī kar
'ishq meñ sabr-o-tahammul ho ye imkān nahīñ
kis tarah manzil-e-maqsūd pe pahuñcheñge 'mīr'
safar-e-dūr hai aur ham kane sāmān nahīñ
'ishq karne ko jigar chahiye aasan nahin
sab ko da'wa hai wale ek mein ye jaan nahin
ghaarat-e-din mein nigah KHasmi-e-iman mein ada
tujh ko kafir na kahe jo wo musalman nahin
sarsari miliye buton se jo na ho tab-e-jafa
'ishq ka zaiqa kuchh daKHil-e-iman nahin
ek be-dard tujhe pas nahin 'ashiq ka
warna 'alam mein kise KHatir-e-mehman nahin
kyunke gham sar-zada har lahza na aawe dil mein
ghar hai darwesh ka yan dar nahin darban nahin
ham-nashin aah na taklif-e-shakebai kar
'ishq mein sabr-o-tahammul ho ye imkan nahin
kis tarah manzil-e-maqsud pe pahunchenge 'mir'
safar-e-dur hai aur hum kane saman nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0369
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.