ishq kiya so jaan jali hai ulfat thi ya kulfat thi
'ishq kiyā so jaan jalī hai ulfat thī yā kulfat thī
kuuTe ga.e haiñ sab aa’zā ye mohabbat thī yā mehnat thī
ab to niDhāl paḌe rahte haiñ zo’f hī aksar rahtā hai
aa.e ga.e us ke kūche meñ jab tak jī meñ tāqat thī
āb-e-hayāt vahī na jis par ḳhizr-o-sikandar marte rahe
ḳhaak se ham ne bharā vo chashma ye bhī hamārī himmat thī
aañsū ho kar ḳhuun jigar kā betābāna aayā thā
shāyad raat shakebā.ī kī jald bahut kuchh ruḳhsat thī
jab se 'ishq kiyā hai maiñ ne sar par mere qayāmat hai
sā’at dil lagne kī shāyad nahs-tarīn-e-sā’at thī
'ishq kiya so jaan jali hai ulfat thi ya kulfat thi
kuTe gae hain sab aa’za ye mohabbat thi ya mehnat thi
ab to niDhaal paDe rahte hain zo’f hi aksar rahta hai
aae gae us ke kuche mein jab tak ji mein taqat thi
aab-e-hayat wahi na jis par KHizr-o-sikandar marte rahe
KHak se hum ne bhara wo chashma ye bhi hamari himmat thi
aansu ho kar KHun jigar ka betabana aaya tha
shayad raat shakebai ki jald bahut kuchh ruKHsat thi
jab se 'ishq kiya hai main ne sar par mere qayamat hai
sa’at dil lagne ki shayad nahs-tarin-e-sa’at thi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1741
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.