Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein gham na chashm-e-tar hai bas

Meer Taqi Meer

ishq mein gham na chashm-e-tar hai bas

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ishq meñ ġham na chashm-e-tar hai bas

    na yahī ḳhuuñ dil-o-jigar hai bas

    rah ga.e muñh nahoñ se noch ke ham

    gar havas hai isī qadar hai bas

    aap se ke phir na aa.e ham

    bas hameñ to yahī safar hai bas

    chaah meñ ham nahīñ ziyāda-talab

    kabhū pūchho jo tum ḳhabar hai bas

    chashm-poshī na kar faqīr hai 'mīr'

    mehr us ko ik nazar hai bas

    ishq mein gham na chashm-e-tar hai bas

    na yahi KHun dil-o-jigar hai bas

    rah gae munh nahon se noch ke hum

    gar hawas hai isi qadar hai bas

    aap se ja ke phir na aae hum

    bas hamein to yahi safar hai bas

    chah mein hum nahin ziyaada-talab

    kabhu puchho jo tum KHabar hai bas

    chashm-poshi na kar faqir hai 'mir'

    mehr ki us ko ek nazar hai bas

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1142
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now