jaana na dil ko tha teri zulf-e-rasa ke bich
jaanā na dil ko thā tirī zulf-e-rasā ke biich
dānista jā paḌe hai koī bhī balā ke biich
farhād-o-qais jis se mujhe chāho pūchh lo
mash.hūr hai faqīr bhī ahl-e-vafā ke biich
āḳhir to maiñ ne tuul diyā bahs-e-‘ishq ko
kotāhī tum bhī mat karo jaur-o-jafā ke biich
aa.ī jo lab pe aah to maiñ uTh khaḌā huā
baiThā gayā na mujh se to aisī havā ke biich
iqbāl dekh is sitam-o-zulm-o-jaur par
dekhūñ huuñ jis ko hai vo usī kī du'ā ke biich
dil is chaman meñ bahutoñ se merā lagā vale
bū-e-vafā na paa.ī kisū āshnā ke biich
josh-o-ḳharosh 'mīr' ke jaate rahe na sab
hotā hai shor chāhne kī ibtidā ke biich
jaana na dil ko tha teri zulf-e-rasa ke bich
danista ja paDe hai koi bhi bala ke bich
farhad-o-qais jis se mujhe chaho puchh lo
mashhur hai faqir bhi ahl-e-wafa ke bich
aaKHir to main ne tul diya bahs-e-‘ishq ko
kotahi tum bhi mat karo jaur-o-jafa ke bich
aai jo lab pe aah to main uTh khaDa hua
baiTha gaya na mujh se to aisi hawa ke bich
iqbaal dekh is sitam-o-zulm-o-jaur par
dekhun hun jis ko hai wo usi ki du'a ke bich
dil is chaman mein bahuton se mera laga wale
bu-e-wafa na pai kisu aashna ke bich
josh-o-KHarosh 'mir' ke jate rahe na sab
hota hai shor chahne ki ibtida ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1124
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.