jaane mein qatl-gah se tera iKHtiyar hai
jaane meñ qatl-gah se tirā iḳhtiyār hai
par jāneñ jo ga.ī haiñ so rah pur-ġhubār hai
ham aap se ga.e so ilāhī kahāñ ga.e
muddat huī ki apnā hameñ intizār hai
bas vāda-e-visāl se kam de mujhe fareb
aage hī mujh ko terā bahut e.atibār hai
sartābī us se tā.ir-e-qudsī na kar sake
us turk-e-said-band kā vo to shikār hai
maa.il nahīñ hai sarv hī tanhā tirī taraf
gul ko bhī tere dekhne kā ḳhār-ḳhār hai
paivand maiñ zamīñ kā huā us galī meñ lek
yuuñ bhī kahā na un ne ye kis kā mazār hai
kal sarv-e-nāz baaġh meñ aaya nazar mujhe
maiñ ne fareb-e-shauq se jaanā ki yaar hai
ab dekh kar qarār kiyā kar visāl kā
dil ko baġhair tere tanik bhī qarār hai
mat fikr-e-ḳhāna-sāzī meñ mun.im halāk ho
buniyād zindagānī kī nā-pā.edār hai
kab tak sitam kabhū to dilāsā bhī dījiye
bil-farz 'mīr' aisā hī taqsīr-vār hai
jaane mein qatl-gah se tera iKHtiyar hai
par jaanen jo gai hain so rah pur-ghubar hai
hum aap se gae so ilahi kahan gae
muddat hui ki apna hamein intizar hai
bas wada-e-visal se kam de mujhe fareb
aage hi mujh ko tera bahut eatibar hai
sartabi us se tair-e-qudsi na kar sake
us turk-e-said-band ka wo to shikar hai
mail nahin hai sarw hi tanha teri taraf
gul ko bhi tere dekhne ka KHar-KHar hai
paiwand main zamin ka hua us gali mein lek
yun bhi kaha na un ne ye kis ka mazar hai
kal sarw-e-naz bagh mein aaya nazar mujhe
main ne fareb-e-shauq se jaana ki yar hai
ab dekh kar qarar kiya kar visal ka
dil ko baghair tere tanik bhi qarar hai
mat fikr-e-KHana-sazi mein munim halak ho
buniyaad zindagani ki na-paedar hai
kab tak sitam kabhu to dilasa bhi dijiye
bil-farz 'mir' aisa hi taqsir-war hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1034
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.