jab se chali chaman mein tere rang-e-pan ki baat
jab se chalī chaman meñ tire rang-e-pāñ kī baat
suntā nahīñ hai koī kalī ke dahāñ kī baat
yaañ shahr-e-husn meñ to kahīñ zikr bhī nahīñ
kyā jāniye ki mehr-o-vafā hai kahāñ kī baat
aḳhtar-shanās ko bhī ḳhalal hai dimāġh kā
pūchho agar zamīñ se kahīñ āsmāñ kī baat
aisā ḳhudā hī jaane ki ho arsh yā na ho
dil bolne kī jā nahīñ kyā us makāñ kī baat
kyā lutf jo suno use kahte phirā karo
yuuñ chāhiye ki bhuul vahīñ ho jahāñ kī baat
le shaam se jahāñ meñ hai tā-sub.h ek shor
apnī samajh meñ kuchh bhī nahīñ aatī yaañ kī baat
aubāsh kis ko pūchhte haiñ iltifāt se
sīdhī kabhū sunī nahīñ us bad-zabāñ kī baat
har harf meñ hai ek kajī har suḳhan meñ pech
pinhāñ rahe hai kab kisū kī TeḌhī bāñkī baat
kiine se kuchh kahā hī kiyā zer-e-lab mujhe
kyā pūchhte ho 'mīr' mire mehrbāñ kī baat
jab se chali chaman mein tere rang-e-pan ki baat
sunta nahin hai koi kali ke dahan ki baat
yan shahr-e-husn mein to kahin zikr bhi nahin
kya jaaniye ki mehr-o-wafa hai kahan ki baat
aKHtar-shanas ko bhi KHalal hai dimagh ka
puchho agar zamin se kahin aasman ki baat
aisa KHuda hi jaane ki ho arsh ya na ho
dil bolne ki ja nahin kya us makan ki baat
kya lutf jo suno use kahte phira karo
yun chahiye ki bhul wahin ho jahan ki baat
le sham se jahan mein hai ta-subh ek shor
apni samajh mein kuchh bhi nahin aati yan ki baat
aubash kis ko puchhte hain iltifat se
sidhi kabhu suni nahin us bad-zaban ki baat
har harf mein hai ek kaji har suKHan mein pech
pinhan rahe hai kab kisu ki TeDhi banki baat
kine se kuchh kaha hi kiya zer-e-lab mujhe
kya puchhte ho 'mir' mere mehrban ki baat
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1113
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.