jala az bas tumhaare taur se ai jama-zeban hun
jalā az bas tumhāre taur se ai jāma-zebāñ huuñ
bharosā kyā hai merā maiñ charāġh-e-zer-e-dāmāñ huuñ
sar-e-harf-o-suḳhan kis ko ḳhayāl-e-zulf meñ us ke
tanik meñ jo bikhar jaatā huuñ maiñ ḳhātir-pareshāñ huuñ
kuhan-sālī meñ shāhid-bāziyāñ kaahe ko zebā thiiñ
diyā laḌkoñ ko dil maiñ ne qayāmat maiñ bhī nādāñ huuñ
kabhū ḳhurshīd-o-mah ko dekh rahtā huuñ kabhū gul ko
mire andāz se zāhir hai maiñ us rū kā hairāñ huuñ
kisū kī yād-e-rū meñ ashk āñkhoñ se nahīñ thamte
ba-rang-e-abr-e-qibla aaj maiñ shiddat se giryāñ huuñ
bukā jab tak nahīñ kartā huuñ tab tak ḳhair hai varna
balā huuñ fitna huuñ āshob huuñ aafat huuñ tūfāñ huuñ
ba-hāl-e-sag phirā kab tak karūñ yuuñ us ke kūche meñ
ḳhajālat khīñchtā huuñ 'mīr' āḳhir maiñ bhī insāñ huuñ
jala az bas tumhaare taur se ai jama-zeban hun
bharosa kya hai mera main charagh-e-zer-e-daman hun
sar-e-harf-o-suKHan kis ko KHayal-e-zulf mein us ke
tanik mein jo bikhar jata hun main KHatir-pareshan hun
kuhan-sali mein shahid-baziyan kahe ko zeba thin
diya laDkon ko dil main ne qayamat main bhi nadan hun
kabhu KHurshid-o-mah ko dekh rahta hun kabhu gul ko
mere andaz se zahir hai main us ru ka hairan hun
kisu ki yaad-e-ru mein ashk aankhon se nahin thamte
ba-rang-e-abr-e-qibla aaj main shiddat se giryan hun
buka jab tak nahin karta hun tab tak KHair hai warna
bala hun fitna hun aashob hun aafat hun tufan hun
ba-haal-e-sag phira kab tak karun yun us ke kuche mein
KHajalat khinchta hun 'mir' aaKHir main bhi insan hun
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1195
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.