Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalwa nahin hai nazm mein husn-e-qubul ka

Meer Taqi Meer

jalwa nahin hai nazm mein husn-e-qubul ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    jalva nahīñ hai nazm meñ husn-e-qubūl

    dīvāñ meñ she'r gar nahīñ nā’t-e-rasūl

    haq talab hai kuchh to mohammad-parast ho

    aisā vasīla hai bhī ḳhudā ke husūl

    matlūb hai zamān-o-makān-o-jahān se

    mahbūb hai malak falak ‘uqūl

    ahmad ko ham ne jaan rakkhā hai vahī ahad

    maz.hab kuchh aur hogā kisī bul-fuzūl

    jin mardumāñ ko āñkheñ diyāñ haiñ ḳhudā ne ve

    surma kareñ haiñ rah tirī ḳhaak dhuul

    maqsūd hai 'alī valī sabhī

    hai qasd sab ko terī razā ke husūl

    qaaf

    thī guftugū-e-bāġh-e-fadak jaḌ fasād

    jaane hai jis ko 'ilm hai diiñ ke usuul

    dā'vā jo haq-shanāsī rakhiye so is qadar

    phir jān-būjh kariye talaf haq butūl

    parvā-e-hashr kyā hai tujhe 'mīr' shaad rah

    hai 'uzr-ḳhvāh-e-jurm jo vo tujh malūl

    jalwa nahin hai nazm mein husn-e-qubul ka

    diwan mein she'r gar nahin na’t-e-rasul ka

    haq ki talab hai kuchh to mohammad-parast ho

    aisa wasila hai bhi KHuda ke husul ka

    matlub hai zaman-o-makan-o-jahan se

    mahbub hai malak ka falak ka ‘uqul ka

    ahmad ko hum ne jaan rakkha hai wahi ahad

    mazhab kuchh aur hoga kisi bul-fuzul ka

    jin marduman ko aankhen diyan hain KHuda ne we

    surma karen hain rah ki teri KHak dhul ka

    maqsud hai 'ali ka wali ka sabhi ka tu

    hai qasd sab ko teri raza ke husul ka

    qaf

    thi guftugu-e-bagh-e-fadak jaD fasad ki

    jaane hai jis ko 'ilm hai din ke usul ka

    da'wa jo haq-shanasi ka rakhiye so is qadar

    phir jaan-bujh kariye talaf haq butul ka

    parwa-e-hashr kya hai tujhe 'mir' shad rah

    hai 'uzr-KHwah-e-jurm jo wo tujh malul ka

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0665
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now