jigar KHun kiya chashm nam kar gaya
jigar ḳhuuñ kiyā chashm nam kar gayā
gayā dil so ham par sitam kar gayā
in āñkhoñ ko nargis likhā thā kahīñ
mire haath donoñ qalam kar gayā
shab ik sho.ala dil se huā thā buland
tan-e-zār merā bhasam kar gayā
mire mazra'-e-zard par shukr hai
kal ik abr aaya karam kar gayā
na ik baar va.ada vafā kar sakā
bahut baar qaul-o-qasam kar gayā
faqīrī meñ thā sheb bār-e-garāñ
qad-e-rāst ko apne ḳham kar gayā
bukā-e-shab-o-roz ab chhoḌ 'mīr'
navāh āñkhoñ kā tū varam kar gayā
jigar KHun kiya chashm nam kar gaya
gaya dil so hum par sitam kar gaya
in aankhon ko nargis likha tha kahin
mere hath donon qalam kar gaya
shab ek shoala dil se hua tha buland
tan-e-zar mera bhasam kar gaya
mere mazra'-e-zard par shukr hai
kal ek abr aaya karam kar gaya
na ek bar wada wafa kar saka
bahut bar qaul-o-qasam kar gaya
faqiri mein tha sheb bar-e-garan
qad-e-rast ko apne KHam kar gaya
buka-e-shab-o-roz ab chhoD 'mir'
nawah aankhon ka tu waram kar gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1343
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.