jigar lohu ko tarse hai main sach kahta hun dil-KHasta
jigar lohū ko tarse hai maiñ sach kahtā huuñ dil-ḳhasta
dalīl is kī numāyāñ hai mirī āñkheñ haiñ ḳhūñ-basta
chaman meñ dil-ḳharāsh āvāz aatī hai chalī shāyad
pas-e-dīvār-e-gulshan nāla-kash hai koī par-basta
jigar sozāñ o dil biryāñ barahna pā o sar qurbāñ
tajāvuz kyā karūñ is se ki un hī kā huuñ vābasta
tire kūche meñ yaksar āshiqoñ ke ḳhār-e-mizhgāñ haiñ
jo tū ghar se kabhū nikle to rakhiyo paañv āhista
mire aage nahīñ hañstā to aa ik sulh kartā huuñ
bhalā maiñ ro.uuñ do dariyā tabassum kar tū yak pasta
ta.ajjub hai mujhe ye sarv ko āzād kahte haiñ
sarāpā dil kī sūrat jis kī ho vo kyā ho vārasta
tirī gul-gasht kī ḳhātir banā hai baaġh dāġhoñ se
par-e-tā.ūs siina hai tamāmī dast guldasta
bajā hai gar falak par faḳhr se pheñke kulāh apnī
kahe jo is zamīñ meñ 'mīr' yak misrā-e-barjasta
jigar lohu ko tarse hai main sach kahta hun dil-KHasta
dalil is ki numayan hai meri aankhen hain KHun-basta
chaman mein dil-KHarash aawaz aati hai chali shayad
pas-e-diwar-e-gulshan nala-kash hai koi par-basta
jigar sozan o dil biryan barahna pa o sar qurban
tajawuz kya karun is se ki un hi ka hun wabasta
tere kuche mein yaksar aashiqon ke KHar-e-mizhgan hain
jo tu ghar se kabhu nikle to rakhiyo panw aahista
mere aage nahin hansta to aa ek sulh karta hun
bhala main roun do dariya tabassum kar tu yak pasta
tajjub hai mujhe ye sarw ko aazad kahte hain
sarapa dil ki surat jis ki ho wo kya ho warasta
teri gul-gasht ki KHatir bana hai bagh daghon se
par-e-taus sina hai tamami dast guldasta
baja hai gar falak par faKHr se phenke kulah apni
kahe jo is zamin mein 'mir' yak misra-e-barjasta
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0420
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.