ji rashk se gae jo udhar ko saba chali
jī rashk se ga.e jo udhar ko sabā chalī
kyā kahiye aaj sub.h ajab kuchh havā chalī
kyā rang-o-bū-o-bād-e-sahar sab haiñ garm-e-rāh
kyā hai jo is chaman meñ hai aisī chalā-chalī
tū do qadam jo raah chalā garm ai nigār
mehñdī kafak kī aag diloñ meñ lagā chalī
fitna hai us se shahr meñ barpā hazār jā
talvār us kī chaal pe kyā ek jā chalī
ye jaur-o-jaur-kash the kahāñ aage ishq meñ
tujh se jafā o 'mīr' se rasm-e-vafā chalī
ji rashk se gae jo udhar ko saba chali
kya kahiye aaj subh ajab kuchh hawa chali
kya rang-o-bu-o-baad-e-sahar sab hain garm-e-rah
kya hai jo is chaman mein hai aisi chala-chali
tu do qadam jo rah chala garm ai nigar
mehndi kafak ki aag dilon mein laga chali
fitna hai us se shahr mein barpa hazar ja
talwar us ki chaal pe kya ek ja chali
ye jaur-o-jaur-kash the kahan aage ishq mein
tujh se jafa o 'mir' se rasm-e-wafa chali
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.