jis ko hua hai us sanam-e-bewafa se rabt
jis ko huā hai us sanam-e-bevafā se rabt
us ko ḳhudā hī hove to ho kuchh ḳhudā se rabt
gul ho ke barg-barg hue phir havā hue
rakhte haiñ is chaman ke jo ġhunche sabā se rabt
zinhār pusht-e-pā se nahīñ uThtī us kī aañkh
us chashm-e-sharmgīñ ko bahut hai hayā se rabt
shāyad usī ke haath meñ dāman ho yaar kā
ho jis sitam-rasīda ko dast-e-duā se rabt
kartī hai aadmī ko danī sohbat-e-faqīr
achchhā nahīñ hai 'mīr' se be-tah gadā se rabt
jis ko hua hai us sanam-e-bewafa se rabt
us ko KHuda hi howe to ho kuchh KHuda se rabt
gul ho ke barg-barg hue phir hawa hue
rakhte hain is chaman ke jo ghunche saba se rabt
zinhaar pusht-e-pa se nahin uThti us ki aankh
us chashm-e-sharmgin ko bahut hai haya se rabt
shayad usi ke hath mein daman ho yar ka
ho jis sitam-rasida ko dast-e-dua se rabt
karti hai aadmi ko dani sohbat-e-faqir
achchha nahin hai 'mir' se be-tah gada se rabt
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1641
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.