Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis pe us mauj si shamshir ka ek war kiya

Meer Taqi Meer

jis pe us mauj si shamshir ka ek war kiya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    jis pe us mauj shamshīr ik vaar kiyā

    kaam us shauq ke Duube hue paar kiyā

    aa gayā ishq meñ jo pesh nasheb aur farāz

    ho ke maiñ ḳhaak barābar use hamvār kiyā

    kyā karūñ jins-e-vafā phere liye jaatā huuñ

    baḳht-e-bad ne na use dil ḳharīdār kiyā

    ittifāq aise paḌe ham to munāfiq Thahre

    charḳh-e-nā-sāz ne ġhairoñ se use yaar kiyā

    aise āzār uThāne hameñ kab thā dimāġh

    koft ne dil to jiine se bhī bezār kiyā

    jaate sune haiñ ishq ke mash.hūr hue

    kyā kiyā ham ne ki is raaz ko iz.hār kiyā

    dekhe us maah ko jo kitne mahīne guzre

    baḌh ga.ī kāhish-e-dil aisī ki bīmār kiyā

    nāla-e-bulbul-e-be-dil hai pareshān bahut

    mausam-e-gul ne magar raḳht-e-safar baar kiyā

    'mīr' ai kaash zabāñ band rakhā karte ham

    sub.h ke bolne ne ham ko giraftār kiyā

    jis pe us mauj si shamshir ka ek war kiya

    kaam us shauq ke Dube hue ka par kiya

    aa gaya ishq mein jo pesh nasheb aur faraaz

    ho ke main KHak barabar use hamwar kiya

    kya karun jins-e-wafa phere liye jata hun

    baKHt-e-bad ne na use dil ka KHaridar kiya

    ittifaq aise paDe hum to munafiq Thahre

    charKH-e-na-saz ne ghairon se use yar kiya

    aise aazar uThane ka hamein kab tha dimagh

    koft ne dil ki to jine se bhi bezar kiya

    ji hi jate sune hain ishq ke mashhur hue

    kya kiya hum ne ki is raaz ko izhaar kiya

    dekhe us mah ko jo kitne mahine guzre

    baDh gai kahish-e-dil aisi ki bimar kiya

    nala-e-bulbul-e-be-dil hai pareshan bahut

    mausam-e-gul ne magar raKHt-e-safar bar kiya

    'mir' ai kash zaban band rakha karte hum

    subh ke bolne ne hum ko giraftar kiya

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0749

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now