jo bahs ji se wafa mein hai so to hazir hai
jo bahs jī se vafā meñ hai so to hāzir hai
pe fart-e-shauq se mujh ko malāl-e-ḳhātir hai
visāl hove to qudrat-numā hai qudrat kā
na ham ko qadr na qudrat ḳhudā hī qādir hai
musāfirāna mile to kahā sharārat se
ġharīb kahte haiñ log in ko ye bhī nādir hai
kisū siyāq se tahrīr tūl-e-shauq na ho
zabān-e-ḳhāma-e-lassān is meñ qāsir hai
baham rakhā karo shatranj hī kī baazī kaash
na 'mīr' baar hai ḳhātir kā yaar shātir hai
jo bahs ji se wafa mein hai so to hazir hai
pe fart-e-shauq se mujh ko malal-e-KHatir hai
visal howe to qudrat-numa hai qudrat ka
na hum ko qadr na qudrat KHuda hi qadir hai
musafirana mile to kaha shararat se
gharib kahte hain log in ko ye bhi nadir hai
kisu siyaq se tahrir tul-e-shauq na ho
zaban-e-KHama-e-lassan is mein qasir hai
baham rakha karo shatranj hi ki bazi kash
na 'mir' bar hai KHatir ka yar shatir hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1517
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.