Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo haidari nahin use iman hi nahin

Meer Taqi Meer

jo haidari nahin use iman hi nahin

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    jo haidarī nahīñ use īmān nahīñ

    ho gar sharīf-e-makka musalmān nahīñ

    vo turk-e-said-pesha mirā qasd kyā kare

    duble-pane se tan meñ mire jaan nahīñ

    ḳhāl-o-ḳhat aise fitne nigāheñ ye āfateñ

    kuchh ik balā vo zulf-e-pareshān nahīñ

    haiñ juzv-e-ḳhāk ham to ġhubār-e-za.īf se

    sar khīñchne ham kane sāmān nahīñ

    dekhī ho jis ne sūrat-e-dilkash vo ek aan

    phir sabr us se ho sake imkān nahīñ

    ḳhurshīd-o-māh-o-gul sabhī ūdhar rahe haiñ dekh

    us chehre ik aa.ina hairān nahīñ

    yaksāñ hai tere aage jo dil aur aarsī

    kyā ḳhūb-o-zisht tujhe pahchān nahīñ

    sajda us āstāñ na jis ke huā nasīb

    vo apne e'tiqād meñ insān nahīñ

    kyā tujh ko bhī junūñ thā ki jaame meñ tere 'mīr'

    sab kuchh bajā hai ek garebān nahīñ

    jo haidari nahin use iman hi nahin

    ho gar sharif-e-makka musalman hi nahin

    wo turk-e-said-pesha mera qasd kya kare

    duble-pane se tan mein mere jaan hi nahin

    KHal-o-KHat aise fitne nigahen ye aafaten

    kuchh ek bala wo zulf-e-pareshan hi nahin

    hain juzw-e-KHak hum to ghubar-e-zaif se

    sar khinchne ka hum kane saman hi nahin

    dekhi ho jis ne surat-e-dilkash wo ek aan

    phir sabr us se ho sake imkan hi nahin

    KHurshid-o-mah-o-gul sabhi udhar rahe hain dekh

    us chehre ka ek aaina hairan hi nahin

    yaksan hai tere aage jo dil aur aarsi

    kya KHub-o-zisht ki tujhe pahchan hi nahin

    sajda us aastan ka na jis ke hua nasib

    wo apne e'tiqad mein insan hi nahin

    kya tujh ko bhi junun tha ki jame mein tere 'mir'

    sab kuchh baja hai ek gareban hi nahin

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0306
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now