jo hoshiyar ho so aaj ho sharab-zada
jo hoshiyār ho so aaj ho sharāb-zada
zamīn-e-maikada yak-dast haigī āb-zada
bane ye kyūñke mile tū hī yā hamīñ samjheñ
ham iztirāb-zada aur tū hijāb-zada
kare hai jis ko malāmat jahāñ vo maiñ hī huuñ
ajal-rasīda jafā-dīda iztirāb-zada
judā ho ruḳh se tirī zulf meñ na kyoñ dil jaa.e
panāh lete haiñ saa.e kī āftāb-zada
lagā na ek bhī 'mīr' us kī bait-e-abrū ko
agarche she'r the sab mere intiḳhāb-zada
jo hoshiyar ho so aaj ho sharab-zada
zamin-e-maikada yak-dast haigi aab-zada
bane ye kyunke mile tu hi ya hamin samjhen
hum iztirab-zada aur tu hijab-zada
kare hai jis ko malamat jahan wo main hi hun
ajal-rasida jafa-dida iztirab-zada
juda ho ruKH se teri zulf mein na kyon dil jae
panah lete hain sae ki aaftab-zada
laga na ek bhi 'mir' us ki bait-e-abru ko
agarche she'r the sab mere intiKHab-zada
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0425
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.