junun mein ab ke kaam aai na kuchh tadbir bhi aaKHir
junūñ meñ ab ke kaam aa.ī na kuchh tadbīr bhī āḳhir
ga.ī kal TuuT mere paañv kī zanjīr bhī āḳhir
agar sākit haiñ ham hairat se par haiñ dekhne qābil
ki ik aalam rakhe hai ālam-e-tasvīr bhī āḳhir
yakāyak yuuñ nahīñ hote haiñ pyāre jaan ke laagū
kabhū aadam hī se ho jaatī hai taqsīr bhī āḳhir
kaleja chhan gayā par jān-e-saḳhtī-kash badan meñ hai
hue us shoḳh ke tarkash ke saare tiir bhī āḳhir
na dekhī ek vāshud apne dil kī is gulistāñ meñ
khile paa.e hazāroñ ġhuncha-e-dil-gīr bhī āḳhir
sarokār aah kab tak ḳhāma-o-kāġhaz se yuuñ rakhiye
rakhe hai intihā ahvāl kī tahrīr bhī āḳhir
phire hai bāvlā sā pīchhe un shahrī ġhazāloñ ke
bayābāñ-marg hogā is chalan se 'mīr' bhī āḳhir
junun mein ab ke kaam aai na kuchh tadbir bhi aaKHir
gai kal TuT mere panw ki zanjir bhi aaKHir
agar sakit hain hum hairat se par hain dekhne qabil
ki ek aalam rakhe hai aalam-e-taswir bhi aaKHir
yakayak yun nahin hote hain pyare jaan ke lagu
kabhu aadam hi se ho jati hai taqsir bhi aaKHir
kaleja chhan gaya par jaan-e-saKHti-kash badan mein hai
hue us shoKH ke tarkash ke sare tir bhi aaKHir
na dekhi ek washud apne dil ki is gulistan mein
khile pae hazaron ghuncha-e-dil-gir bhi aaKHir
sarokar aah kab tak KHama-o-kaghaz se yun rakhiye
rakhe hai intiha ahwal ki tahrir bhi aaKHir
phire hai bawla sa pichhe un shahri ghazalon ke
bayaban-marg hoga is chalan se 'mir' bhi aaKHir
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0814
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.