jun abr-e-be-kasana rote uThe hain ghar se
juuñ abr-e-be-kasāna rote uThe haiñ ghar se
barse hai ishq apne dīvār aur dar se
jamhūr raah us kī dekhā kare hai aksar
mahfūz rakh ilāhī us ko nazar-guzar se
vahsh aur tair āñkheñ har-sū lagā rahe haiñ
gard-e-rah us kī dekheñ uTh chaltī hai kidhar se
shāyad ki vasl us kā hove to jī bhī Thahre
hotī nahīñ hai ab to taskīn-e-dil ḳhabar se
muddat se chashm-basta baiThā rahā huuñ lekin
vo rū-e-ḳhūb hargiz jaatā nahīñ nazar se
go haath vo na aave dil ġham se ḳhuun karnā
hai laag mere jī ko us shoḳh kī kamar se
ye gul nayā khilā hai le baal to qafas meñ
koī kalī na nikle murġh-e-chaman ke par se
dekho na chashm-e-kam se ye aañkh DabDabā.ī
sairāb abr hote dekhe haiñ chashm-e-tar se
gulshan se le qafas tak āvāz ek sī hai
kyā tā.ir-e-gulistāñ haiñ nāla-kash asar se
har ik ḳharāsh-e-nāḳhun jabhe se sadr tak hai
rijhvāḌ ho to pūchhe koī hameñ hunar se
ye āshiqī hai kaisī aise jiyoge kab tak
tark-e-vafā karo ho marne ke 'mīr' Dar se
jun abr-e-be-kasana rote uThe hain ghar se
barse hai ishq apne diwar aur dar se
jamhur rah us ki dekha kare hai aksar
mahfuz rakh ilahi us ko nazar-guzar se
wahsh aur tair aankhen har-su laga rahe hain
gard-e-rah us ki dekhen uTh chalti hai kidhar se
shayad ki wasl us ka howe to ji bhi Thahre
hoti nahin hai ab to taskin-e-dil KHabar se
muddat se chashm-basta baiTha raha hun lekin
wo ru-e-KHub hargiz jata nahin nazar se
go hath wo na aawe dil gham se KHun karna
hai lag mere ji ko us shoKH ki kamar se
ye gul naya khila hai le baal to qafas mein
koi kali na nikle murgh-e-chaman ke par se
dekho na chashm-e-kam se ye aankh DabDabai
sairab abr hote dekhe hain chashm-e-tar se
gulshan se le qafas tak aawaz ek si hai
kya tair-e-gulistan hain nala-kash asar se
har ek KHarash-e-naKHun jabhe se sadr tak hai
rijhwaD ho to puchhe koi hamein hunar se
ye aashiqi hai kaisi aise jiyoge kab tak
tark-e-wafa karo ho marne ke 'mir' Dar se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1729
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.