kab dastaras hai la’l ko tere suKHan talak
kab dastaras hai laa’l ko tere suḳhan talak
rusvā.iyāñ ga.ī haiñ aqīq-e-yaman talak
āzādgī ye chhoḌ qafas ham na jā sake
husn-e-sulūk-e-zo'f se sehn-e-chaman talak
tar-dastiyāñ hoñ dast-o-garebān haath kī
zer-e-zamīñ bhī pohñcheñgī chāk-e-kafan talak
rotā huuñ āhūoñ meñ tirī chashm yaad kar
tūfāñ kiye haiñ saiñkaḌoñ dasht-e-ḳhutan talak
maarā gayā ḳhirām-e-butāñ par safar meñ 'mīr'
ai kabk kahtā jā.iyo us ke vatan talak
kab dastaras hai la’l ko tere suKHan talak
ruswaiyan gai hain aqiq-e-yaman talak
aazadgi ye chhoD qafas hum na ja sake
husn-e-suluk-e-zo'f se sehn-e-chaman talak
tar-dastiyan hon dast-o-gareban hath ki
zer-e-zamin bhi pohnchengi chaak-e-kafan talak
rota hun aahuon mein teri chashm yaad kar
tufan kiye hain sainkaDon dasht-e-KHutan talak
mara gaya KHiram-e-butan par safar mein 'mir'
ai kabk kahta jaiyo us ke watan talak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0262
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.