kab talak ahwal ye jab koi tera nam le
kab talak ahvāl ye jab koī terā naam le
āshiq-e-behāl donoñ haath se dil thaam le
nā-tavānī se agar mujh meñ nahīñ hai jī to kyā
ishq jo chāhe to murde se bhī apnā kaam le
pahlū-e-āshiq na bistar se lage to hai bajā
dil sī aafat ho baġhal meñ jis ke kyā ārām le
ab dil-e-nālāñ phir us zulf-e-siyah meñ jā chukā
aaj ye bīmār dekheñ kis tarah se shaam le
shāḳh-e-gul terī taraf jhuktī jo hai ai mast-e-nāz
chāhtī hai tū bhī mere haath se ik jaam le
dil kī āsā.ish nahīñ imkān-e-zulf-e-yār meñ
ye shikār-e-muztarib hai dam na zer-e-dām le
izzat ai pīr-e-muġhāñ kuchh hājiyoñ kī hai zarūr
aa.e haiñ tere kane ham jāma-e-ehrām le
kyā balā muftī kā lauñDā sar chaḌhā hai in dinoñ
aave hai goyā ki mujh par qaazī kā e.alām le
ham-nashīñ kah mat butoñ kī 'mīr' ko tasbīh hai
kaam kyā is zikr se un ko ḳhudā kā naam le
kab talak ahwal ye jab koi tera nam le
aashiq-e-behaal donon hath se dil tham le
na-tawani se agar mujh mein nahin hai ji to kya
ishq jo chahe to murde se bhi apna kaam le
pahlu-e-ashiq na bistar se lage to hai baja
dil si aafat ho baghal mein jis ke kya aaram le
ab dil-e-nalan phir us zulf-e-siyah mein ja chuka
aaj ye bimar dekhen kis tarah se sham le
shaKH-e-gul teri taraf jhukti jo hai ai mast-e-naz
chahti hai tu bhi mere hath se ek jam le
dil ki aasaish nahin imkan-e-zulf-e-yar mein
ye shikar-e-muztarib hai dam na zer-e-dam le
izzat ai pir-e-mughan kuchh hajiyon ki hai zarur
aae hain tere kane hum jama-e-ehram le
kya bala mufti ka launDa sar chaDha hai in dinon
aawe hai goya ki mujh par qazi ka ealam le
ham-nashin kah mat buton ki 'mir' ko tasbih hai
kaam kya is zikr se un ko KHuda ka nam le
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.