kabkon ne teri chaal jo dekhi ThiThak gae
kabkoñ ne terī chaal jo dekhī ThiThak ga.e
dil sakinān-e-bāġh ke tujh se aTak ga.e
andoh-e-vasl-o-hijr ne aalam khapā diyā
in do hī manziloñ meñ bahut yaar thak ga.e
mutlaq asar na us ke dil-e-narm meñ kiyā
har chand nāla-hā-e-hazīñ arsh tak ga.e
ifrāt-e-girya se huiiñ ābādiyāñ ḳharāb
sailāb mere ashk ke azhdar bhī bhak ga.e
ve mai-gusār zarf jinheñ ḳhum-kashī ke the
bhar kar nigāh tū ne jo kī vūhīñ chhak ga.e
chand ai sipahr chhātī hamārī jalā kare
ab daaġh khāte khāte kaleje to pak ga.e
ushshāq par jo ve saf-e-mizhgāñ phireñ to 'mīr'
juuñ ashk kitne chū ga.e kitne Tapak ga.e
kabkon ne teri chaal jo dekhi ThiThak gae
dil sakinan-e-bagh ke tujh se aTak gae
andoh-e-wasl-o-hijr ne aalam khapa diya
in do hi manzilon mein bahut yar thak gae
mutlaq asar na us ke dil-e-narm mein kiya
har chand nala-ha-e-hazin arsh tak gae
ifraat-e-girya se huin aabaadiyan KHarab
sailab mere ashk ke azhdar bhi bhak gae
we mai-gusar zarf jinhen KHum-kashi ke the
bhar kar nigah tu ne jo ki wuhin chhak gae
chand ai sipahr chhati hamari jala kare
ab dagh khate khate kaleje to pak gae
ushshaq par jo we saf-e-mizhgan phiren to 'mir'
jun ashk kitne chu gae kitne Tapak gae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0478
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.