kahan yaad qais ab jo duniya kare hai
kahāñ yaad qais ab jo duniyā kare hai
kabhū qadr-dāñ 'ishq paidā kare hai
ye tiflān-e-bāzār jī ke haiñ gāhak
vahī jāntā hai jo saudā kare hai
chhupā.īñ hoñ āñkheñ hī un ne to kahiye
vo har baat kā ham se parda kare hai
jo ronā hai rātoñ ko apnā yahī to
kināra koī din meñ dariyā kare hai
Thasak us ke chalne kī dekho to jaano
qayāmat hī har-gām barpā kare hai
mareñ shauq-e-parvāz-e-gulshan meñ kyoñ na
asīroñ kī yaañ kaun parvā kare hai
banī sūrateñ kaisī kaisī bigāḌīñ
samajhte nahīñ ham falak kyā kare hai
ḳhat afshāñ kiyā ḳhūn-e-dil se to bolā
bahut ab tū rangīn inshā kare hai
halāk aap ko 'mīr' mat kar divāne
koī zī-shu'ūr aah aisā kare hai
kahan yaad qais ab jo duniya kare hai
kabhu qadr-dan 'ishq paida kare hai
ye tiflan-e-bazar ji ke hain gahak
wahi jaanta hai jo sauda kare hai
chhupain hon aankhen hi un ne to kahiye
wo har baat ka hum se parda kare hai
jo rona hai raaton ko apna yahi to
kinara koi din mein dariya kare hai
Thasak us ke chalne ki dekho to jaano
qayamat hi har-gam barpa kare hai
maren shauq-e-parwaz-e-gulshan mein kyon na
asiron ki yan kaun parwa kare hai
bani suraten kaisi kaisi bigaDin
samajhte nahin hum falak kya kare hai
KHat afshan kiya KHun-e-dil se to bola
bahut ab tu rangin insha kare hai
halak aap ko 'mir' mat kar diwane
koi zi-shu'ur aah aisa kare hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1049
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.