Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte hain marne wale yan se gae

Meer Taqi Meer

kahte hain marne wale yan se gae

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kahte haiñ marne vaale yaañ se ga.e

    sab yahīñ rah ga.e kahāñ se ga.e

    dam meñ dam jab talak thā soch rahā

    saañs ke saath saare sāñse ga.e

    aañkh khulte ghar ga.e ve to

    ham sitam-dīda ḳhānumāñ se ga.e

    vaañ ga.e karte ve ḳhirām-e-nāz

    yaañ javāñ kaise kaise jaañ se ga.e

    us galī se jo uTh ga.e be-sabr

    'mīr' goyā ki ve jahāñ se ga.e

    kahte hain marne wale yan se gae

    sab yahin rah gae kahan se gae

    dam mein dam jab talak tha soch raha

    sans ke sath sare sanse gae

    aankh khulte hi ghar gae we to

    hum sitam-dida KHanuman se gae

    wan gae karte we KHiram-e-naz

    yan jawan kaise kaise jaan se gae

    us gali se jo uTh gae be-sabr

    'mir' goya ki we jahan se gae

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now