kahte hain uD bhi gae jal ke par-e-parwana
kahte haiñ uḌ bhī ga.e jal ke par-e-parvāna
kuchh sunī soḳhtagāñ tum ḳhabar-e-parvāna
sa.ī itnī ye zarūrī hai uThe bazm sulag
ai jigar-taftagī-e-be-asar-e-parvāna
kis gunah kā hai pas-az-marg ye uzr-e-jāñ-soz
paañv par sham.a ke paate haiñ sar-e-parvāna
aa paḌā aag meñ ai sham.a yahīñ se tū samajh
kis qadar daaġh huā thā jigar-e-parvāna
bazm-e-duniyā kī to dil-sozī sunī hogī 'mīr'
kis tarah shaam huī yaañ sahar-e-parvāna
kahte hain uD bhi gae jal ke par-e-parwana
kuchh suni soKHtagan tum KHabar-e-parwana
sai itni ye zaruri hai uThe bazm sulag
ai jigar-taftagi-e-be-asar-e-parwana
kis gunah ka hai pas-az-marg ye uzr-e-jaan-soz
panw par shama ke pate hain sar-e-parwana
aa paDa aag mein ai shama yahin se tu samajh
kis qadar dagh hua tha jigar-e-parwana
bazm-e-duniya ki to dil-sozi suni hogi 'mir'
kis tarah sham hui yan sahar-e-parwana
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0427
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.