Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte ho tum ki yaksar mujh mein wafa hai shayad

Meer Taqi Meer

kahte ho tum ki yaksar mujh mein wafa hai shayad

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kahte ho tum ki yaksar mujh meñ vafā hai shāyad

    matrūk rasm-e-jor-o-zulm-o-jafā hai shāyad

    kam naaz se hai kis ke bande be-niyāzī

    qālib meñ ḳhaak ke yaañ pinhāñ ḳhudā hai shāyad

    yaañ kuchh nahīñ hai baaqī us ke hisāb lekin

    mujh meñ shumār-e-dam se ab kuchh rahā hai shāyad

    qaid-e-firāq se to chhūTeñ jo mar raheñ ham

    is dard-e-be-davā marnā davā hai shāyad

    ye ishq hai yaqīnī haal aisā kam sunā hai

    ai 'mīr' dil kisū se terā lagā hai shāyad

    kahte ho tum ki yaksar mujh mein wafa hai shayad

    matruk rasm-e-jor-o-zulm-o-jafa hai shayad

    kam naz se hai kis ke bande ki be-niyazi

    qalib mein KHak ke yan pinhan KHuda hai shayad

    yan kuchh nahin hai baqi us ke hisab lekin

    mujh mein shumar-e-dam se ab kuchh raha hai shayad

    qaid-e-firaq se to chhuTen jo mar rahen hum

    is dard-e-be-dawa ki marna dawa hai shayad

    ye ishq hai yaqini haal aisa kam suna hai

    ai 'mir' dil kisu se tera laga hai shayad

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1602
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now