kal hath ja raha tha dil-e-be-qarar pas
kal haath jā rahā thā dil-e-be-qarār paas
goyā ki jā rahā kisū sozinda naar paas
kis jadd-o-kad se haif hai mujh ko kiyā shikār
Thahrā na phir vo said-fagan is shikār paas
us gul baġhair pahroñ haiñ bulbul se nāla-kash
karte haiñ apnī or se to ham hazār paas
ḳhush-hāl ve jo haal kaheñ dilbaroñ se der
royā na maiñ to ek ghaḌī apne yaar paas
duurī meñ jis kī mar ga.e ruk ruk ke 'mīr' ham
niklā na vo so ho ke hamāre mazār paas
kal hath ja raha tha dil-e-be-qarar pas
goya ki ja raha kisu sozinda nar pas
kis jadd-o-kad se haif hai mujh ko kiya shikar
Thahra na phir wo said-fagan is shikar pas
us gul baghair pahron hain bulbul se nala-kash
karte hain apni or se to hum hazar pas
KHush-haal we jo haal kahen dilbaron se der
roya na main to ek ghaDi apne yar pas
duri mein jis ki mar gae ruk ruk ke 'mir' hum
nikla na wo so ho ke hamare mazar pas
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1401
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.