kal le gae the yar hamein bhi chaman ke bich
kal le ga.e the yaar hameñ bhī chaman ke biich
us kī sī bū na aa.ī gul-o-yāsman ke biich
kushta huuñ maiñ to shīrīñ-zabānī-e-yār kā
ai kaash vo zabān ho mere dahan ke biich
is bahr meñ rahā mujhe chakkar bhañvar ke taur
sar-gashtagī meñ umr ga.ī sab vatan ke biich
gar dil jalā bhunā yahī ham saath le ga.e
to aag lag uThegī hamāre kafan ke biich
tangī-e-jāma zulm hai ai bā.is-e-hayāt
paate haiñ lutf jaan kā ham tere tan ke biich
nāzuk bahut hai tū kahīñ afsurdagī na aa.e
chaspānī-e-libās se pyāre badan ke biich
hai qahr vo jo dekhe nazar bhar ke jin ne 'mīr'
barham kiyā jahāñ mizha-barham-zadan ke biich
kal le gae the yar hamein bhi chaman ke bich
us ki si bu na aai gul-o-yasman ke bich
kushta hun main to shirin-zabani-e-yar ka
ai kash wo zaban ho mere dahan ke bich
is bahr mein raha mujhe chakkar bhanwar ke taur
sar-gashtagi mein umr gai sab watan ke bich
gar dil jala bhuna yahi hum sath le gae
to aag lag uThegi hamare kafan ke bich
tangi-e-jama zulm hai ai bais-e-hayat
pate hain lutf jaan ka hum tere tan ke bich
nazuk bahut hai tu kahin afsurdagi na aae
chaspani-e-libas se pyare badan ke bich
hai qahr wo jo dekhe nazar bhar ke jin ne 'mir'
barham kiya jahan mizha-barham-zadan ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1123
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.