kal se dil ki kal bigDi hai ji mara be-kal ho kar
kal se dil kī kal bigḌī hai jī maarā be-kal ho kar
aaj lahū āñkhoñ meñ aaya dard-o-ġham se ro ro kar
ek sujūd ḳhulūs-e-dil se aah kiyā na javānī meñ
sar maare haiñ mehrāboñ meñ yuuñ hī vaqt ko ab kho kar
jeb-darīda ḳhāk-maloñ ke haal se kyā āgāhī tumheñ
raah chalo ho nāz-kunāñ dāman ko lagā kar tum Thokar
ek to ham tū hote nahīñ haiñ sar bahuterā maar chuke
ab behtar hai teġh sitam kī jald lagā kar tū do kar
jī hī malā jaatā hai apnā 'mīr' samāñ ye dekhe se
āñkheñ malte uThte haiñ bistar se dilbar jab so kar
kal se dil ki kal bigDi hai ji mara be-kal ho kar
aaj lahu aankhon mein aaya dard-o-gham se ro ro kar
ek sujud KHulus-e-dil se aah kiya na jawani mein
sar mare hain mehrabon mein yun hi waqt ko ab kho kar
jeb-darida KHak-malon ke haal se kya aagahi tumhein
rah chalo ho naz-kunan daman ko laga kar tum Thokar
ek to hum tu hote nahin hain sar bahutera mar chuke
ab behtar hai tegh sitam ki jald laga kar tu do kar
ji hi mala jata hai apna 'mir' saman ye dekhe se
aankhen malte uThte hain bistar se dilbar jab so kar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1389
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.