kar na taKHir tu ek shab ki mulaqat ke bich
kar na tāḳhīr tū ik shab kī mulāqāt ke biich
din na phir jā.eñge ushshāq ke ik raat ke biich
harf-zan mat ho kisī se tū ki ai āfat-e-shahr
jaate rahte haiñ hazāroñ ke sar ik baat ke biich
merī taa.at ko qubūl aah kahāñ tak hogā
sub.ha ik haath meñ hai jaam hai ik haat ke biich
surmagīñ chashm pe us shoḳh kī zinhār na jā
hai siyāhī-e-mizha meñ vo nigah ghaat ke biich
baiTheñ ham us ke sag-e-kū ke barābar kyūñ-kar
karte haiñ aisī ma.īshat to musāvāt ke biich
tāb-o-tāqat ko to ruḳhsat hue muddat guzrī
pand-go yūñhī na kar ab ḳhalal auqāt ke biich
zindagī kis ke bharose pe mohabbat maiñ karūñ
ek dil ġham-zada hai so bhī hai āfāt ke biich
be-mai-o-muġhbacha ik dam na rahā thā ki rahā
ab talak 'mīr' kā takiya hai ḳharābāt ke biich
kar na taKHir tu ek shab ki mulaqat ke bich
din na phir jaenge ushshaq ke ek raat ke bich
harf-zan mat ho kisi se tu ki ai aafat-e-shahr
jate rahte hain hazaron ke sar ek baat ke bich
meri taat ko qubul aah kahan tak hoga
subha ek hath mein hai jam hai ek hat ke bich
surmagin chashm pe us shoKH ki zinhaar na ja
hai siyahi-e-mizha mein wo nigah ghat ke bich
baiThen hum us ke sag-e-ku ke barabar kyun-kar
karte hain aisi maishat to musawat ke bich
tab-o-taqat ko to ruKHsat hue muddat guzri
pand-go yunhi na kar ab KHalal auqat ke bich
zindagi kis ke bharose pe mohabbat main karun
ek dil gham-zada hai so bhi hai aafat ke bich
be-mai-o-mughbacha ek dam na raha tha ki raha
ab talak 'mir' ka takiya hai KHarabaat ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0192
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.