karte bayan jo hote KHaridar ek do
karte bayāñ jo hote ḳharīdār ek do
dekhā kareñ haiñ saath tire yaar ek do
qaid-e-hayāt qaid koī saḳht hai ki roz
mar rahte haiñge is ke giraftār ek do
kis kis pe us ko hove nazar yaañ har ek shab
jī deñ haiñ us kī chashm ke bīmār ek do
tū to do-chār ho ke gayā kab kā yaañ hanūz
guzreñ haiñ apnī jaan se nā-chār ek do
abrū-e-teġh-zan kī tumhāre to kyā chalī
kar de hai jis kā lāgte hī vaar ek do
Tuk chashm meñ bhī surme kā dumbāla khīñchiye
us mast ke bhī haath meñ talvār ek do
kyā kyā aziiz dost mile 'mīr' ḳhaak meñ
kuchh is galī meñ ham hī nahīñ ḳhvār ek do
karte bayan jo hote KHaridar ek do
dekha karen hain sath tere yar ek do
qaid-e-hayat qaid koi saKHt hai ki roz
mar rahte hainge is ke giraftar ek do
kis kis pe us ko howe nazar yan har ek shab
ji den hain us ki chashm ke bimar ek do
tu to do-chaar ho ke gaya kab ka yan hanuz
guzren hain apni jaan se na-chaar ek do
abru-e-tegh-zan ki tumhaare to kya chali
kar de hai jis ka lagte hi war ek do
Tuk chashm mein bhi surme ka dumbaala khinchiye
us mast ke bhi hath mein talwar ek do
kya kya aziz dost mile 'mir' KHak mein
kuchh is gali mein hum hi nahin KHwar ek do
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0402
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.