KHuda kare mere dil ko Tuk ek qarar aawe
ḳhudā kare mire dil ko Tuk ik qarār aave
ki zindagī to karūñ jab talak ki yaar aave
kamāneñ us kī bhavoñ kī chaḌhī hī rahtī haiñ
na jab talak sar-e-tīr-e-sitam shikār aave
hameñ to ek ghaḌī gul-baġhair dūbhar hai
ḳhudā hī jaane ki ab kab talak bahār aave
uThī bhī gard-e-rah us kī kahīñ to lutf hai kyā
jab intizār meñ āñkhoñ hī par ġhubār aave
har ek shai kā hai mausam na jaane thā mansūr
ki naḳhl-e-dār meñ halq-e-burīda baar aave
tumhāre jauroñ se ab haal jā-e-ibrat hai
kisū se kahiye to us ko na e.atibār aave
nahīñ hai chaah bhalī itnī bhī duā kar 'mīr'
ki ab jo dekhūñ use maiñ bahut na pyaar aave
KHuda kare mere dil ko Tuk ek qarar aawe
ki zindagi to karun jab talak ki yar aawe
kamanen us ki bhawon ki chaDhi hi rahti hain
na jab talak sar-e-tir-e-sitam shikar aawe
hamein to ek ghaDi gul-baghair dubhar hai
KHuda hi jaane ki ab kab talak bahaar aawe
uThi bhi gard-e-rah us ki kahin to lutf hai kya
jab intizar mein aankhon hi par ghubar aawe
har ek shai ka hai mausam na jaane tha mansur
ki naKHl-e-dar mein halq-e-burida bar aawe
tumhaare jauron se ab haal ja-e-ibrat hai
kisu se kahiye to us ko na eatibar aawe
nahin hai chah bhali itni bhi dua kar 'mir'
ki ab jo dekhun use main bahut na pyar aawe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1305
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.