KHub hai ai abr ek shab aao baham roiye
ḳhuub hai ai abr ik shab aao bāham roiye
par na itnā bhī ki Duube shahr kam-kam roiye
vaqt-e-ḳhush dekhā na ik dam se ziyāda dahr meñ
ḳhanda-e-sub.h-e-chaman par misl-e-shabnam roiye
shādī-o-ġham meñ jahāñ kī ek se das kā hai farq
eid ke din hañsiye to das din moharram roiye
dekhā mātam-ḳhāna-e-ālam ko ham mānind-e-abr
har jagah par jī meñ yuuñ aaya damādam roiye
ho judā firdaus se ya.anī galī se yaar kī
muddatoñ tak kījiye ġham misl-e-ādam roiye
ab se yuuñ kariye muqarrar uThiye jab kohsār se
vādī-e-majnūñ pe bhī ai abr ik dam roiye
ishq meñ taqrīb-e-girya go nahīñ darkār 'mīr'
ek muddat sabr hī kā rakhiye mātam roiye
KHub hai ai abr ek shab aao baham roiye
par na itna bhi ki Dube shahr kam-kam roiye
waqt-e-KHush dekha na ek dam se ziyaada dahr mein
KHanda-e-subh-e-chaman par misl-e-shabnam roiye
shadi-o-gham mein jahan ki ek se das ka hai farq
eid ke din hansiye to das din moharram roiye
dekha matam-KHana-e-alam ko hum manind-e-abr
har jagah par ji mein yun aaya damadam roiye
ho juda firdaus se yani gali se yar ki
muddaton tak kijiye gham misl-e-adam roiye
ab se yun kariye muqarrar uThiye jab kohsar se
wadi-e-majnun pe bhi ai abr ek dam roiye
ishq mein taqrib-e-girya go nahin darkar 'mir'
ek muddat sabr hi ka rakhiye matam roiye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0503
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.