Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi din kariye maishat ja kisu kaamil ke pas

Meer Taqi Meer

koi din kariye maishat ja kisu kaamil ke pas

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    koī din kariye ma.īshat kisū kāmil ke paas

    nāqisoñ meñ rahiye kyā rahiye to sāhib-dil ke paas

    bū-e-ḳhūñ bhak bhak dimāġhoñ meñ chalī aatī hai kuchh

    niklī hai ho kar sabā shāyad kisū ghā.il ke paas

    shor-o-hangāma bahut da.avā zarūrī hai bahut

    kāshke mujh ko bulāveñ hashr meñ qātil ke paas

    gard se hai nāqa-e-salmā ko mushkil rah-ravī

    ḳhaak kis hai ki mushtāq aatī hai mahmil ke paas

    til se tere muñh ke dil thā daaġh ai barnā-e-charb

    ḳhaal ye ik aur niklā zālim agle til ke paas

    dil gudāz-e-ishq se sab aab ho kar bah gayā

    mar ga.e par gor merī kariye to be-dil ke paas

    maliye kyūñkar na kaf-e-afsos jaatā hai 'mīr'

    Dūbtī hai kashtī varte se nikal sāhil ke paas

    koi din kariye maishat ja kisu kaamil ke pas

    naqison mein rahiye kya rahiye to sahib-dil ke pas

    bu-e-KHun bhak bhak dimaghon mein chali aati hai kuchh

    nikli hai ho kar saba shayad kisu ghail ke pas

    shor-o-hangama bahut dawa zaruri hai bahut

    kashke mujh ko bulawen hashr mein qatil ke pas

    gard se hai naqa-e-salma ko mushkil rah-rawi

    KHak kis ki hai ki mushtaq aati hai mahmil ke pas

    til se tere munh ke dil tha dagh ai barna-e-charb

    KHal ye ek aur nikla zalim agle til ke pas

    dil gudaz-e-ishq se sab aab ho kar bah gaya

    mar gae par gor meri kariye to be-dil ke pas

    maliye kyunkar na kaf-e-afsos ji jata hai 'mir'

    Dubti hai kashti warte se nikal sahil ke pas

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1630
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now