koi faqir ye ai kashke dua karta
koī faqīr ye ai kāshke duā kartā
ki mujh ko us kī galī kā ḳhudā gadā kartā
kabhū jo aan ke ham se bhī tū milā kartā
to tere jī meñ muḳhālif na itnī jā kartā
chaman meñ phuul gul ab ke hazār rang khile
dimāġh kaash ki apnā bhī Tuk vafā kartā
faqīr bastī meñ thā to tirā ziyāñ kyā thā
kabhū jo aan nikaltā koī sadā kartā
ilaaj ishq ne aisā kiyā na thā us kā
jo koī aur bhī majnūñ kī kuchh davā kartā
qadam ke chhūne se ustādgī mujhī se huī
kabhū vo yuuñ to mire haath bhī lagā kartā
badī natīja hai nekī kā is zamāne meñ
bhalā kisū se jo kartā to tū burā kartā
talātum aañkh ke sad-rang rahte the tujh bin
kabhū kabhū jo ye dariyā-e-ḳhūñ chaḌhā kartā
kahāñ se niklī ye ātish na māntā thā maiñ
shurūa-e-rabt meñ us ke jo dil jalā kartā
galī se yaar kī ham le ga.e sar-e-pur-shor
vagarna shaam se hangāma hī rahā kartā
ḳharāb mujh ko kiyā dil kī laag ne varna
faqīr takiye se kaahe ko yuuñ uThā kartā
ga.e pe tere na thā ham-nafas koī ai gul
kabhū nasīm se maiñ dard-e-dil kahā kartā
kahīñ kī ḳhaak koī muñh pe kab talak maltā
ḳharāb-o-ḳhvār kahāñ tak bhalā phirā kartā
muī hī rahtī thī izzat mirī mohabbat meñ
halāk aap ko kartā na maiñ to kyā kartā
tire mizāj meñ tāb-e-ta’ab thī 'mīr' kahāñ
kisū se ishq na kartā to tū bhalā kartā
koi faqir ye ai kashke dua karta
ki mujh ko us ki gali ka KHuda gada karta
kabhu jo aan ke hum se bhi tu mila karta
to tere ji mein muKHalif na itni ja karta
chaman mein phul gul ab ke hazar rang khile
dimagh kash ki apna bhi Tuk wafa karta
faqir basti mein tha to tera ziyan kya tha
kabhu jo aan nikalta koi sada karta
ilaj ishq ne aisa kiya na tha us ka
jo koi aur bhi majnun ki kuchh dawa karta
qadam ke chhune se ustadgi mujhi se hui
kabhu wo yun to mere hath bhi laga karta
badi natija hai neki ka is zamane mein
bhala kisu se jo karta to tu bura karta
talatum aankh ke sad-rang rahte the tujh bin
kabhu kabhu jo ye dariya-e-KHun chaDha karta
kahan se nikli ye aatish na manta tha main
shurua-e-rabt mein us ke jo dil jala karta
gali se yar ki hum le gae sar-e-pur-shor
wagarna sham se hangama hi raha karta
KHarab mujh ko kiya dil ki lag ne warna
faqir takiye se kahe ko yun uTha karta
gae pe tere na tha ham-nafas koi ai gul
kabhu nasim se main dard-e-dil kaha karta
kahin ki KHak koi munh pe kab talak malta
KHarab-o-KHwar kahan tak bhala phira karta
mui hi rahti thi izzat meri mohabbat mein
halak aap ko karta na main to kya karta
tere mizaj mein tab-e-ta’ab thi 'mir' kahan
kisu se ishq na karta to tu bhala karta
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0736
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.