koi nam us ka na lo jabr hai
koī naam us kā na lo jabr hai
ki betāb dil kī binā sabr hai
na soz-e-jigar ḳhaak meñ bhī gaḌā
mue par pur-ātish mirī qabr hai
gulistāñ ke haiñ donoñ palle bhare
bahār us taraf is taraf abr hai
jo darvesh pahne hai babrī libās
to phir 'ainihī sher hai babr hai
dar-e-ka.aba par kufr baktā hai 'mīr'
musalmāñ nahīñ vo kuhan gabr hai
koi nam us ka na lo jabr hai
ki betab dil ki bina sabr hai
na soz-e-jigar KHak mein bhi gaDa
mue par pur-atish meri qabr hai
gulistan ke hain donon palle bhare
bahaar us taraf is taraf abr hai
jo darwesh pahne hai babri libas
to phir 'ainihi sher hai babr hai
dar-e-kaba par kufr bakta hai 'mir'
musalman nahin wo kuhan gabr hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1748
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.