kya abas majnun pae-mahmil hai myan
kyā 'abas majnūñ pa.e-mahmil hai myaañ
ye divāna bāvlā 'āqil hai myaañ
qand kā kaun is qadar maa.il hai myaañ
jo hai un hoñToñ hī kā qaa.il hai myaañ
ham ne ye maanā ki vā'iz hai malak
aadmī honā bahut mushkil hai myaañ
chashm-e-tar kī ḳhair jaarī hai sadā
sail is darvāze kā saa.il hai myaañ
marne ke pīchhe to rāhat sach hai lek
biich meñ ye vāqi'a haa.il hai myaañ
dil kī pāmālī sitam hai qahr hai
koī yuuñ daltā hai āḳhir dil hai myaañ
aaj kyā fardā-e-mahshar kā hirās
sub.h dekheñ kyā ho shab hāmil hai myaañ
dil taḌaptā hī nahīñ kyā jāniye
kis shikār-andāz kā bismil hai myaañ
chāhiye pesh-az-namāz āñkheñ khulīñ
haif us kā vaqt jo ġhāfil hai myaañ
rang be-rangī judā to hai vale
aab sā har rang meñ shāmil hai myaañ
sāmne se Tuk Tale to diq na ho
āsmāñ chhātī par apnī sil hai myaañ
dil-lagī itnī jahāñ meñ kis liye
rahguzar hai ye to kyā manzil hai myaañ
be-tahī dariyā-e-hastī kī na pūchh
yaañ se vaañ tak sau jagah sāhil hai myaañ
chashm-e-haq-bīñ se karo Tuk tum nazar
dekhte jo kuchh ho sab bātil hai myaañ
dardmandī hī to hai jo kuchh ki hai
haq meñ 'āshiq ke davā qātil hai myaañ
barsoñ ham rote phire haiñ abr se
zaanū zaanū us galī meñ gil hai myaañ
kohna-sālī meñ hai jaise ḳhurd-sāl
kyā falak piirī meñ bhī jāhil hai myaañ
kyā dil-e-majrūh-o-mahzūñ kā gila
ek ġhamgīñ dūsre ghā.il hai myaañ
dekh kar sabza hī ḳhurram dil ko rakh
mazra’-e-duniyā kā ye hāsil hai myaañ
musta’iddoñ par suḳhan hai āj-kal
she'r apnā fan so kis qābil hai myaañ
kī ziyārat 'mīr' kī ham ne bhī kal
lā-ubālī sā hai par kāmil hai myaañ
kya 'abas majnun pae-mahmil hai myan
ye diwana bawla 'aqil hai myan
qand ka kaun is qadar mail hai myan
jo hai un honTon hi ka qail hai myan
hum ne ye mana ki wa'iz hai malak
aadmi hona bahut mushkil hai myan
chashm-e-tar ki KHair jari hai sada
sail is darwaze ka sail hai myan
marne ke pichhe to rahat sach hai lek
bich mein ye waqi'a hail hai myan
dil ki pamali sitam hai qahr hai
koi yun dalta hai aaKHir dil hai myan
aaj kya farda-e-mahshar ka hiras
subh dekhen kya ho shab hamil hai myan
dil taDapta hi nahin kya jaaniye
kis shikar-andaz ka bismil hai myan
chahiye pesh-az-namaz aankhen khulin
haif us ka waqt jo ghafil hai myan
rang be-rangi juda to hai wale
aab sa har rang mein shamil hai myan
samne se Tuk Tale to diq na ho
aasman chhati par apni sil hai myan
dil-lagi itni jahan mein kis liye
rahguzar hai ye to kya manzil hai myan
be-tahi dariya-e-hasti ki na puchh
yan se wan tak sau jagah sahil hai myan
chashm-e-haq-bin se karo Tuk tum nazar
dekhte jo kuchh ho sab baatil hai myan
dardmandi hi to hai jo kuchh ki hai
haq mein 'ashiq ke dawa qatil hai myan
barson hum rote phire hain abr se
zanu zanu us gali mein gil hai myan
kohna-sali mein hai jaise KHurd-sal
kya falak piri mein bhi jahil hai myan
kya dil-e-majruh-o-mahzun ka gila
ek ghamgin dusre ghail hai myan
dekh kar sabza hi KHurram dil ko rakh
mazra’-e-duniya ka ye hasil hai myan
musta’iddon par suKHan hai aaj-kal
she'r apna fan so kis qabil hai myan
ki ziyarat 'mir' ki hum ne bhi kal
la-ubaali sa hai par kaamil hai myan
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0904
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.